शनिवार, 7 अगस्त 2010

MEDIA KI SAMAJIK JIMMEDARI

Badnami ke bhi, bhai apne hi fayde hote hain.tabhi to PRATIGYA ki ROLI ka role star plus ne mauke ka fayda uthane ke liye fauran badha diya. ise hi kehte hain badnam honge to kya naam bhi na hoga. is tarah ke fasad khade karke pulicity lene ke mamle rakhisamantiya parampara mein badhte hi ja rahe hain.ab to har chutbhaiye celebrity ko lokpriyta paane ka ye sabse sasta aur kargar tareeka lagta hai.ek din pehle jo SAHRISH media ke samne ro rahi thi, star plus se role badhaye jane ki baat jankar phooli nahin sama rahi thi.sajag darshko ko is tarah ki paramra ko bhunane wale dharawahiko ko badhawa nahin dena chahiye kyonki isse samaj mein galat messege jata hai.hamare bachche bhi is tarah ke vivad school-colleges mein khade karke sasti lokpriyta pane ki koshish kar sakte hain.jiska fayde-nuksaan hum bakhoobi samajh sakte hain. kyonki jab hum vivadit vyakti ke programes ko aur adhik tavajjo dene lagte hain tab kahin na kahin unke dwara kiye gaye tathakathit karya ko apni samajik sahmati de rahe hote hain.media ko bhi samajik jimmedari nibhate hue ese mamlon ko bahut zyada tool nahin dena chahiye.ek-aadh baar dikhakar janhit ki khabron ki or hi rukh karna chahiye.print aur electronic media ke content ka janta par seedha asar padta hai. iske alava deshvirodhi bhashan denewale,desh ekta akhandata ke liye khatra ban sakne wale logon ka bahut adhik mahimamandan nahin karna chahiye.yadi sambhav ho sake to ,aise logon ka vedio ya pecture bhi nahi dikhana chahiye,jisse ki un logon ki vivad khadakar lokpriya hone ki mansha ko bal na mil sake. aise logon aur unke dwara diye ja rahe deshvirodhi bayanon ko adhik coverage dekar media aise deshdrohiyon ka upkarak banta ja raha hai.yahi log desh ki ekta akhandata ke liye sabse bada khatra bankar bhavishya mein ubhrehge.TRP KE KHEL MEIN MEDIA APNI SAMAJIK JAWABDEHI KO NAZARANDAZ NAHIN KAR SAKTA ANYATHA LOKTANTRA KA TEESRA STAMBH HONE KI USKI GARIMA JABARDAST DHAKKA LAGEGA. aaj sacchai ye hai ki lokhit mein tan ,man,dhan se sahyog karke koi neta nahin banna chahta keval zubani jama-kharch karke tarkheen bhashan dekar hi neta log barabar charcha mein bane rehna chahte hain .aur media aise logon ki ichchaon ko asani se pura kar deta hai.vastav mein media ko vaikalpik media ki tarah samaj ki or dekhna chahiye na ki vyavsayik media ki tarah .TABHI MEDIA KA MADHYAM NAAM SARTHAK HO SAKEGA.

कोई टिप्पणी नहीं: